Mili jo najre to pyaar ho jaayega,
Aankhon hi aankhon me ikaraar ho hi jaayega,
To kasam se phir kabhi na jud paayega...
Bin tere jab bhi raat hoti hai,
Sannaata poochta hai sawaal hamse,
Tere naam se hi to shurooaat hoti hai...
Dekhi hajaaro mahafil par ye fija kuch aur hai,
Jalwe dekhe hai hajaaro magar aapki ada kuch aur hai,
Par aapke SMS ka nasha kuc aur hai.
Sookhe hue phool jab kitabo me mil jaayenge,
Bhool se phir ham tumhe yaad aayenge,
Ehasaas hoga hamaari chaahat ka,
Jab door bahut ham tumse chale jaayenge.
Har baat jubaan se kah du ye jaroori to nahi,
Umra gujari hai aadhi poori to nahi,
Door jaroor hai aapki nigaaho se,
Par dil ki dil se doori to nahi.
Nigaahe dar pe lagi hai aur udaas baithe hai,
Tere aane ki lekar aas baithe hai,
Aisa lagta hai ki aap mere paas baithe hai.
Jindagi bhar roolaane ke liye...
Jo chupke se deedaar kar baithi,
Hamne to khamosh rahne ki thani thi,
Par bewafa ye jubaan ijhaar kar baithi.
Bas karna gunaah baaki rah gaya...
Kabhi khud roye to kabhi aapko roolaya,
Julm pe julm karti gayi duniya,
Neend apni bhula kar sulaya hamko,
Aansu apne gira kar hasaya hamko,
Dard kabhi na dena us khuda ki tasweer ko,
Jamana kahta hai maa-baap jinko...
Mere dost pahle sher sunte hai,
Phir poochte hai tujhe ye kaha se milte hai,
Unka bhi dil meri tarah toota hua ho to,
Unhe pata chale ye to tanhaaiyo se milte hai.
Pee hai sharaab har gali har mahkhaane se,
Ek dosti si ho gai hai sharaab ke jaam se,
Gujare hai ham kuch aise mukaam se ki,
Nafrat si ho gai hai mohabbat ke naam se.
Kis pal se unse milne ki taarikh maangu?
Mujhe to dar hai unhe kho dena ka,
Kis khuda se unko paane ka naseeb maangu...?
Waqt ke saath halaat badal jaate hai,
Apno tak ke khyalaat badal jaate hai,
Jab bura waqt aata hai pyaare,
Khud apne hi jajbaat badal jaate hai...
Ae dil-e-naadaan tujhe hua kya hai,
Aakhir is dard ki dawa kya hai,
Ham ko unse hai wafa ki ummeed,
Jo nahi jaante ki wafa kya hai...?
Apna dil apni tabaahi ka sabak hota hai,
Ye jawaani ka jamana bhi ajab hota hai,
Kaun si baat ne kis shakhs ka dil tod diya,
Bhoolne waale ko ehasaas bhi kab hota hai...?
Kabhi jaroorat pade to sabse pahle hame aawaaj dena,
Agar koi shak ho to aajma lena,
Jindagi tumhaare liye chod denge,
Maut hamaare liye chod dena...
Tum bin jindagi sooni si lagti hai,
Ab to in saanso ko apni saanso se jod de,
Warna jindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai.
Aankhon me samaai hai soorat teri,
Jakhm dene ka andaaj kuch aisa hai,
Jakhm dekar poochte hai ab haal kaisa hai?
Saari duniya ka mijaaj ek jaisa hai...
Agar hamne apne gam aapko de diye hote,
To aap apne hosh kho diye hote,
Ham to phir bhi muskura rahe hai,
Aap to khuda kasam ro diye hote...
Tanhaai ke is aalam me na koi saathi hai,
Na koi armaan hai, bas yaado ka sama hai,
Shikwa kare bhi to kisase kare,
Rishto ki ahamiyat bataate hai faasle,
Magar thoda tadpaate hai faasle,
Dilo me ho na doori dua karna,
Chaahe yu hi rahe meelo ke faasle...
Dil ka gulaab jise chum ke diya,
Usne mujhe bahaar se mahroom kar diya,
Tumhaari berookhi ne to hamara naam kar dala,
Hame shaayar bana ke mera saathi jaam bana dala.
Dard duniya ne bin soche hi de diya,
Sah gaye jo ham agar dard ko chupke se,
To phir hamko patthar dil kah diya...
Ek hamara waqt hai jiska ek pal
Aapki yaad ke bina nahi jata aur
Jisme hame yaad karne wala pal hi nahi aata.
Jindagi ek safar hai imtahano ka,
Yaha haar bhi hai aur jeet bhi hai,
Jindagi ek fasaana hai aashiko ka,
Yaha milna bhi hai aur bichadna bhi...
Ae musaafir ham bhi chale the kabhi un raaho par,
Sajaaye the hamne bhi aankhon ke saaj par kuch sapne,
Lut gaye ham unhi se jo the kabhi mere apne...
Jindagi wo jo teri baaho me gujare,
Raat wo jo tere khwaabo me gujare,
Hasi wo jo teri hasi par aaye,
Aansu wo jo teri yaad me aaye...
Usne gam deke bataya meri kismat kya hai,
Main bhi gam kha ke baat du ki mohabbat kya hai?
Jamana kyon pareshaan hai meri tanhaaiyo par,
Gahraai me jaane ki jaroorat kya hai...?
Agar bheegne ka itna hi shauk hai baarish me,
Baarish to har ek ke liye barasti hai,
Lekin ye aankhen sirf tumhaare liye barasti hai...
Bikta hai gam husn ke baajaar me,
Laakho dard chipe hote hai ek chote se inkaar me,
Ho jab pyaar jamaane se dukhi,
To swaagat hai hamaari dosti ke darbaar me.
Isi kashmakash me hamaari raat gujar gayi,
Chahat me kisi ka imtihaan na lena,
Nibha hi na sako wo wada na dena,
Jise tum bin jeene ki aadat hi na ho,
Use kabhi jeene ki dua na dena.
In aankhon se ye aansu bahte hai,
Tum kya jaano kitna dard ham sahte hai?
Log hamara majaak udaate hai aur
Hamaare aansu ko paani kahte hai.
Bhoole hi wo kuch is tarah hame,
Ki unhe samajhana bhi mushkil ho gaya,
Kya pata koi khata ho gayi hamse ya koi
Aur unke jyada kareeb aa gaya...?
Kuch gam mere dil se sambhaale nahi jaate,
Aansu bhi unhe saath nahi le jaaye,
Ek waqt tha jab pi jaate the sau gam ke samundar,
Aaj do aansu bhi ab mujhse sambhaale nahi jaate.
Mere dard ko kisi ne nahi dekha hai,
Jisane dekha hai sirf mujhe dekha hai,
Mahafil me logo ne mujhe haste dekha hai.
Tere bagair jiye ja raha hu mai,
aisaa lagataa hai koI gunaah kiye jaa rahaa hooM maiM,
jahaaM kaheeM bhee ho lauT kar aa jaao,
waranaa ek aur gunaah karane jaa rahaa hooM mai.
Ek din hamaari muskaan, hamse pooch baithi,
Hamne kaha, ham yaad to apne dost ko karte hai,
Tum unki yaado ke saath chali aati ho...
Aaj bhi unaki najro me raaj wo hi tha,
Chehra wo hi tha, chehare ka libaas wo hi tha,
Kaise unko bewafa kah du yaaro,
Aaj bhi unke dekhane ka andaaj wo hi tha.
Rang waale rang se tasweer badal dete hai,
Nikale huye kamaan se teer badal dete hai,
Tumase mere do aansu na badle gaye,
Badalne waale to takdeer badal dete hai.
Toote huye taare ko dekh kar maine kaha,
Ae dil maang le tu bhi fariyaad koi,
Par dil se aawaaj aai ki jo khud toot raha hai,
Kaise poori karega wo fariyaad koi...?
Saath uska kya chuta ham majaak ban gaye,
Pata nahi meri takdeer me kya likha tha,
Jo is khaaI me aakar gir gaye...?
Aapse to aapke khwaab hi ache hai jo,
Aankhen band karte hi chale aate hai...
Raat ki tanhaai se darte hai ham,
Kaagaj ki parchaai se darte hai ham,
Tere saath ki ummeed karte hai ham.
Aisa yaar chaahiye jo hame apna maan sake,
Hamaare har dukh ko jaan sake,
Phir bhi paani me se aansu ko pahchaan sake...
Phool sabnam me doob jaate hai,
Jakhm marham me doob jaate hai,
To ham aapke gam me doob jaate hai...
Post By: Neha Shah
0 Comments