Tumse bichada to mat pucho kidhar jaauga,
Chupchap teri gali se gujar jaauga,
Jab tujhko hogi mere haal-e-pareshaan ki khabar,
To aansu bankar tere gaalo se lipat jaauga...
Ham jee rahe hai sirph tumhara deedaar karke,
Saanse bhi le rahe hai tumhe bhi yaad karke,
Khuda ke paas do-ek din ham bhi jayenge,
Par vahaan bhi tumhara intajaar hai...
Maut jab saamne aati hai to jee leta hu,
Jakhm muh kholne lagte hai to see leta hu,
Mujhko maloom hai masti kee hakeekat
Lekin hosh jab had se gujarti hai to pee leta hu...
Apne hotho pe sajana chaahta hu,
Aa main tujhe gungunana chaahta hu,
Aakhiri hichki tere daaman me aaye,
Maut bhi main aashikana chaahta hu.
Kabhi khamoshi bhi bahut kuch kah jaati hai,
Tadpane ke liye yaade rah jaati hai,
Kya fark padta hai dil ko ya koyla,
Jalne ke baad to sirf raakh hi rah jaati hai.
Yah duniya waale bhi bade ajeeb hai,
Kabhi hamse door to kabhi kareeb hai,
Dard na bataaye to hame kayar kahte hai,
Aur dard bata de to hame shayar kahate hai.
Bahut kam log hote hai jamaane me aise,
Sacchi chaahat ki jinhe pahchaan hoti hai,
Itna soch lena kisi pe mar mitne se pahle,
Ki gawaane ke liye ek hi jaan hoti hai...
Koi mila hame chaand ki chandni bankar,
To koi mila pariyo ki kahani bankar,
Par jis kisi ko palko me basaya hamne,
Wo nikal gaya aankhon ka paani bankar...
Dil ke aaine kisi ko chupa liya,
Aur dard ko apni in aankhon me sama liya,
Hamne aansuo ko uske apna saya bana liya...
Kismat ke bharose pyaar kiya nahi karte,
Dar-dar ke ham kabhi jiya nahi karte,
Jo bichadne ke dar se pyaar kiya nahi karte...
Najro se najro ka takraav hota hai,
Har mod par kisi ka intjaar hota hai,
Dil rota hai aur jakhm haste hai,
Har roj ham nashe me hote hai aur
Ek din shaam nashe me hogi aur
Lut jaati hai duniya hamaari tanhaaiyo ko dekhkar,
Jis tarah lut jaati hai lahre kinaare ko dekhkar,
Tum bhi sahara na dena mere janaaje ko,
Kahi jinda na ho jaau tumhaare sahaare ko dekhkar...
Paas aakar sabhi door chale jaate hai,
Ham akele the akele hee rah jaate hai,
Marham lagane waale hi jakhm de jaate hai.
Ek gam ke siwa mila kuch nahi,
Saare armaan to jal ke khaak ho gaye,
Log kahte hai phir bhi jala kuch nahi.
Rishta ulfat ka yu nibhaya jata hai,
Aansu pekar bhi muskuraya jata hai,
Aise bhi mod aate hai mohabbat me,
Kisi ke khaatir khud ko mitaya jata hai.
Ulfat me kabhi ye haal hota hai,
Aankhen hasti hai magar dil rota hai,
Maante hai ham jise manjil apni,
Hamsafar uska koi aur hota hai.
Ishq dariya hai jiska saahil nahi hota,
Har dil mohabbat ke kaabil nahi hota,
Rota wo bhi hai jo duba ishq ke saagar me aur
Rota wo bhi hai jise ishq haasil nahi hota.
Jindagi ne diya aisa ki har tohafe pe dam nikla,
Chand khushiya liye dher sara gam mila.
Wo hamaare na huye to kya gam hai,
Ham to unhi ke hai ye kya kam hai?
Yaha na gam kam hai na aansu kam hai,
Bas ab dekhna ye hai ki roolane waale me kitna dam hai.?
Umra bhar dil ko jalana padega,
Teri judaai ka dard sahna padega,
Hame to akele hi jeena padega...
Barbaad jo kare koi jindagi pyaar ke naam pe,
Bewafaai jo de jaaye wafa ke naam pe,
Jakhm jo de jaaye dawa ke naam pe,
Khuda bhi ro pade aise anjaam pe.
Sooraj se ujaale ki pahchaan na hoti,
Agar na ki hoti din me kiran ne bewafaai to,
Raat ko chaandni nilaam na hoti...
Toote hue paimaane me kabhi jaam nahi aata,
Ishq ke marijo ko aaraam nahi aata,
Dil todne waale ne yah jaan liya hota ki,
Toota hua dil kisi ke kaam nahi aata.
Aaj phir aansuo ke fasaane nikle,
Tum kabhi dil ki baat samajh hi na paaye,
Aur ham tumhe dil ka haal sunaane nikle.
Samundra ko kya dukh hai bata bhi nahi sakta,
Aankhon me aansu la bhi nahi sakta,
Tu saath chodkar ja raha hai mera kasoor nahi,
Har shakhs mera saath nibha bhi nahi sakta...
Bina chot khaye ehsaas nahi hota,
Har koi duniya me khaas nahi hota,
Magar jisaki aaraju dil se ho jaati hai,
Wo hi shakhs hamaare paas nahi hota...
Aur koi gam nahi ek teri judaai ke siwa,
Mere hisse me kya aaya tanhaai ke siwa?
Yun to milan ki raate mili beshumaar,
Pyaar me sab kuch mila shahnaai ke siwa...
Palko se raaste ke kaante hata denge,
Phool to kya ham dil bhi bicha denge,
Uske pahle hi ham khud ko mita denge...
Ham to hamaare liye kuch kar na sake,
Jin ke liye kiya wo samajh na sake,
Sisakte rahe par muh se aah bhi na nikaal sake...
Kabhi kisi se jikr judaai ka mat karna,
Is dil se kabhi rooswaai mat karna,
Jab dil rooth jaaye hamse to bata dena,
Na bata kar bewafaai mat karna.
Pyaar me usool to bahut hote hai,
Mohabbat ki kasme sabhi khaate hai,
Dil to aakhir toot hi jata hai,
Phir bhi aashiq rasmo ko nibhaate hai...
Tere hote huye bhi tanhaai mili hai,
Wafa kar ke bhi bewafaai mili hai,
Usase bhi jyada teri judaai mili hai...
Kaash wo pal sang bitaaye na hote,
Jinako yaad kar aaj ye aansu aaye na hote,
To itani gahraai se dil me samaaye na hote...
Faasle mitaakar aapas me pyaar rakhna,
Pyaar ka ye rishta hamesha barkaraar rakhna,
Par aankhon me hamesha intjaar rakhna...
Meri mohabbat ki takdeer dekho,
Jo roothe the unake paigaam aa rahe hai,
Jab maar dala meri pyaas ne mujhko,
Wo aankhon me lekar jaam aa rahe hai...
Timtimaate hi sahi sitara to hai,
Ho jaati hai tumhaari yaad se hi tasalli,
Mujhe phool na dena unse nafarat hai,
Dena hai to kaante de dena mujhe unki aadat hai,
Wo chubhte hai jakhm dete hai imaandari se,
Phool to murjha jaate hai kuch din khushbu dene ke baad...
Dekhiye kis kadar hamko tumse pyaar hai,
Har taraf aapki hi tasweer hai,
Intaha hai ya chaahat ka ijahaar hai,
Hamne samajha tumhe hi apni takdeer,
Bas ab to jindagi bhar tumhara hi intajaar hai...
Jamaane se nahi ham tanhaai se darte hai,
Pyaar se nahi rooswaai se darte hai,
Dil me umang hai tujhe milane ki,
Par milne ke baad aane waali teri judaai se darte hai.
Mere marne ke baad mere dosto.
Bas apni aakhen band kar lena mera deedar khud ho jayega.
Ek tanha raat me aapki yaad aayi,
Tanhaai mitaane ko hamne ek cigarette jalaai,
Na jaane kyaa kayaamat ho aayi,
Dhue me bhi aapki tasweer najar aayi.
Jindagi me intajaar ki lakeer chod jaayenge,
Aakhon me yaado ki nami chod jaayenge,
Ham yaado ki wo tasweer chod jaayenge.
Mukaddar ka gareeb, dil ka ameer tha,
Mil kar bichadna mera naseeb tha,
Chaahkar bhi kuch kar na sake ham,
Ghar jalta raha aur samudra kareeb tha.
Kaise apne aap se mujhe juda kar paaoge,
Mere jaane pe tum bhi aansu bahaaoge,
Soch ke bataya kya tum ham bin muskura paaoge...?
"Dekha karo kam kyonki dekhte ho tum tadapte hai ham."
"Soch karo kam kyonki sochte ho tum to rote hai ham."
Saja dene waale rajaa puchate hai,
Jeene ki hamse wajah puchate hai,
Khud hi dete hai jahar ham ko aakar,
Phir kitna hua asar yah bhi puchate hai.
Pyaar ka rishta to toda toone,
Ab jo rishta hai wo tod na jana,
Denge saath har mod pe tujhako,
Beech raaste pe hamko kabhi chod na jana.
Khushiya dhoondhne chala raaste par,
Khushi mili magar kat-kat kar,
Har khushi ke peeche ek baat sahi thi,
Har khushi aayi sau gam lekar.
Jindagi aapki ho par saanse meri,
Dil aapka ho, par dhadkan meri,
Jindagi ke aakhiri mod par dua hogi yahi,
Hotho ki jubaan mere aansu kahte hai,
Chup rahte hai phir bhi bahte hai,
Ye unke liye bahte hai jo aankhon me rahte hai...
Jab koi khyaal dil se takrata hai,
Dil na chaahkar bhi khaamosh rah jaata hai,
Koi sab kuch kahkar pyaar jatata hai aur
Koi kuch na kahkar bhi sab bol jata hai...
Jinko aayi na nibhaani mohabbat,
Wo kya kisi ko aabaad karenge?
0 Comments