Header Ads Widget

X x X






bara kathin hay raasta jo aasako to saath do

ye zindagi ka faasla mita sako to saath do

baray faraib khaao gay baray sitam uthaao gay

ye umar bhar ka saath hay nibah sako to saath do

jo tum kaho to ye dil to kiya main jaan bhi karoon fida

jo main kahoon to aik nazar luta sako to saath do

hazaar imtihaan aur hazaar aazmaayishain

hazaar dukha hazaar ghar utha sako to saath do

ye zindagi yahan khushi ghamon k saath hay

rula sako to saath do hansa sako to saath do


M ZAHEER



Post a Comment

0 Comments