Main jaanta tha mera katal tum karoge nahi,
Tadpaaoge magar jinda bhi tum mujhe rehne na doge.
Agar dena hi tha to pyaar me dhokha dete jaalim,
Shaadi karke to ham yu hi tabaah ho gaye.
Sitam ko hamne berookhi samajha,
Pyaar ko hamne bundgi samajha,
Tum chaahe hame jo bhi samajho,
Hamne to tumhe apni jindagi samajha.
Chaand se haseen hai chaandni,
Mohabbat ka paigaam kehte hai gulaab ko,
Sabse pehle ham salaam kehate hai aapko,
Sharaab ko kharab mat kehna sanam,
Jaha gaye the khushiyo ke taraane,
Mukkadar dekhiye roye wahi par,
Huye mandir se gaayab joote hamaare,
Jaha se paaye the, khoye wahi par.
Mushkile dilo ke iraade aajmayenge,
Khwaab ke parde nigaaho se hatayenge,
Ye thokare hi tujhko chalna sikhayenge.
Dil ka dard kisi ko dikha na sake,
Jo dil me tha wo kisi ko bata na sake,
Kiye the jawaani me ladkiyo par jo kharche,
Unke bill budaape tak chuka na sake.
Khushboo jo phoolo me samaai huyi hai,
Ae dil uski saanso se churaayi huyi hai.
Chaand taaro se bhari raat bhali lagti hai,
Phool patto ki mulakaat bhali lagti hai,
Jo baat hotho par na aa paaye kabhi,
Wo baat SMS se karni bhali lagti hai.
Insaan kharida ja sakta hai magar pyaar nahi,
Isaliye aap apna sara paisa mujhe de do.
Teri dosti ne bahut kuch sikha diya,
Meri khaamosh duniya ko jaise hasa diya,
Karjdaar hu main khuda ka jisane,
Mujhe tere jaise dost se mila diya.
Dost hi dost ka saath diya karte hai,
Dost hi dost ko gam diya karte hai,
Jindagi me kuch pal aise bhi aate hai,
Jab dost hi dost ko badnaam kiya karte hai.
Yu hi to khoobsurat hai dosti ka nata,
Jo bina shart ke jiya jata hai,
Rahe dooriya to parawaah nahi,
Dost to har pal dil me basaya jaata hai.
Socha tha ki chod denge is raah ko,
Tum bhula nahi sakoge kabhi mere pyaar ko,
Mere chumbano ko aur mere hotho ki pukaar ko,
Meri ungaliyo ne jo gazal tumhaare badan par likhi thi,
Daali se patte yu hi gira nahi karte,
Bichad ke log jyaada jiya nahi karte,
Warna purane SMS baar-baar ham pada nahi karte.
Thokar na maarna mujhe bekaar samajh kar,
Seene se laga dena mujhe haar samajhakar,
Raahi ko samajhane me kahi bhool na karna,
Hamne tumhe chaha hai samajhdaar samajhakar.
Ehasaas se banta hai wishwaas,
Aur rishte se banta hai koi aap jaisa khaas.
Jaise taaro ke saath aakaash hai,
Par hamaari sharaafat dekho ham,
Sabse kehate hai ki ye to kismat ki baat hai.
Dil jalo ke dil par khanjar chalane chod do,
Gir padegi bijaliya tum muskurana chod do.
Gulaab hai gulaabi, teri aankhe hai sharaabi,
Tere labo par sawaal hai, meri aankhe hai jawaabi,
Likhne me kya harz hai, padne me kya hai kharabi,
Padne wala ho agar yaaro ka yaar,
Chand geeto ke sahaare jee rahe hai,
Phoonk apna ghar isaliye diya taaki,
Kuch gharo me roshani hoti rahe.
Dil ke sab raaj de raha hu main,
Kaash unhe bhi ye ehasaas ho jaaye,
Kahi aisa na ho ki wo hosh me aaye,
Aur ham gehari neend me so jaaye.
Gulaab ka bagicha hai, magar phool nahi hai,
Aapki bewafaai hame, kubool nahi hai,
Aapne to shaayad mujhko bhula dala,
Magar dosto ko bhula dena mera usool nahi hai.
Shaayro ko shaayri pasand hai,
Hamko to aapka saath pasand hai.
Saagar ka hai paani aur nadiya ki hai dhara,
Bata kis kaaran se tune toda hai dil hamara,
Aaj to wo bhi paas se hokar gujar jaate hai,
Kal tak lagta tha jinko main jaan se bhi pyara.
Dil mera tera bimar aaj bhi hai,
Teree kasam tumse mujhe pyaar aaj bhi hai,
Mana ki tujhe kaid kar diya bedard logo ne,
In pehro ke baawjood tera intjaar aaj bhi hai.
Ham hawa ke jhonke hai gujar jaayenge,
Khamoshi se tumhaare dil me utar jaayenge,
Paakar tumhaari dosti ye hua ehasaas,
Tumse bichad kar ham mar jaayenge.
Ae dost mujh par itna ehasaan kar de,
Na rahe kisi aur ki jagah is dil me,
Dost hone ki wajah mere dil me bhar de.
Khushboo pyaar ki taraf bikhar jaati hai,
Tumhaare muskuraane se hamaari duniya bhi muskurati hai,
Jab bhi dekhte hai SMS tumhara ham apne mobile par,
Khuda kasam saare jamaane ki khushiya hamaare paas chali aati hai.
Najar se najar churaoge kab tak,
Dost se dosti chupaaoge kab tak,
Hamaare SMS tumhe lagataar milte rahenge,
Jiske kaaran mera janaza nikla.
Jeena hai to haskar jiyo kyonki,
Tumhe dekhakar koi aur bhi jita hai.
Kisi ko mohabbat ki achai ne maar dala,
Kisi ko mohabbat ki gehraai ne maar dala,
Bach na saka is mohabbat se koi,
Jo bach gaya use tanhaai ne maar dala.
Phool me khushboo nahi, panghat me paani nahi,
Main to deewana hu tera, tu meri deewaani nahi,
Mere gam ki kahani sunkar, sabhi ne yahi kaha,
Jhoothi hai ye kahaani, teri kahaani sacchi nahi.
Jindagi mei to tumhaari ham aa naa sake isaliye
Tumhaare khwabo me chale aate hai,
Meethe dard ka asar hai sahkar to dekho,
Pyaar katra nahi samundar hai, behkar to dekho,
Tumhaare liye chod denge jamana,
Koi dikha ke roye, koi chupa ke roye,
Hame roolane waale hame roola ke roye,
Jab kaatil bhi janaaze par aa kar roye.
Neend aapko bhi kahan aati hai.
Jo dil kahe usi raah ko chuno,
Piche waalo ko aage na jaane do,
Aur jo aage hai unse aage nikalo,
Tabhi aap ek ache truck driver ban sakte ho.
Agar tu ek din ke liye khush hona chaahte ho,
To ‘Date’ par chale jao, agar kuch din ke liye khush hona chahte ho,
To kisi se pyaar kar lo, aur agar hamesha ke liye khush rehna chahte ho,
Parakhna mat parakhne me koi apna nahi rehta,
Kisi bhi aaine me der tak cehra nahi rehta,
Mohabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai,
Koi insaan tanhaai me bhi tanha nahi rehta.
Koshish bahut ki dil ko samajhne ki,
Aankhon ko kasam di so jaane ki,
Bahut samjhaya phir bhi aankhen nahi soyi,
Soyi to jab maine baat ki aapke khwaab me aane ki.
Wo kaun hai jinke intajaar me raaho par tikti hai najar,
Wo kaun hai jisne mujhase mujhko kiya hai bekhabar,
Wo kaun hai jo ban jaayegi meri chaahat-e-jigar,
Wo kaun hai jo banegi meri umra bhar ki hamsafar.
Jisne dil diya, wo Delhi chali gayi,
Jisne pyaar kiya, wo Italy chali gayi,
Dil ne kaha khudkhushi kar le jaalim,
0 Comments