Header Ads Widget

Ek Meharbaan Nazar

Ek Meharbaan Nazar

Wo jub tak mehrbaan tha

Saarey manzir, Sarey mosam mehrbaan they

Parindey, Phool, Khushboo, Khwab peihum mehrbaan they

Hum apney sath chhaata le k Q chaltey

Achanak teiz barish se humein khatra nahi tha

K khoon ashaam qatrey misl-e-shabnam mehrbaan they

Jo dushman ha wo zahir ha

K hum se khush na they lekin

Hum un ka zikr krtey they to kehtey they

Hamarey mehrbanon mein ye kam kam mehrbaan they

Azal se taa Abad, sub ashnaa na-ashnaa

Lamhon se apni dosti thi

Zameen se ta-falak jitney they alam mehrbaan they

Khushi to un dinon choti si bachi thi

Hamarey ghar jo aksar khelney aati

To us ko deir ho jati

Khushi to phir khushi thi

Inteha ye thi k ghum bhi mehrbaan they

Wo jub tk mehrbaan tha

Khud pe hum bhi mehrbaan they

Poet: Shabeeh-ul-Hassan Rizvi

www.CuteeGroup.TK

Post a Comment

0 Comments