Header Ads Widget

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 244-245-246-247-248-249-250-251-252-253

********************************

Kaash aansu ke saath yaaden beh jaati,

Kaash ye khamoshi sab kuch keh jaati,

Kaash kismat tumne likhi hoti to,

Shaayad meri kismat me pyaar ki kami na reh jaati.

********************************

Jab jab sooraj nikalega tab tab aapko duaai denge,

Jab jab shaam dhalegi tab tab aapko duaai denge,

Karte hai aapse itna pyaar khuda ki kasam,

Aaoge jab jab hamaare khwaabon me tab tab aapko duaai denge.

********************************

Jab bhi tum pukaaroge, ham daude chale aayenge,

Kafan me lipate cheeta se uth ke chale aayenge,

Agar jal gaye to koi gam nahi mere hamdam,

Raakh banke ham uthate chale aayenge.

********************************

Jo bani ho mere liye, jis ke liye main jee raha hu,

Jo kahe ham saath hai tere,

Jise dekhne ke liye tadap raha hu.

Ek aisa hi dildaar chaahiye,

Bas mujhe mera pyaar chaahiye.

********************************

Haskar vo gam ki saja dete hai,

Jehar me thoda sa pyaar mila dete hai.

Jab bhi naam aata hai unke deewaano ka,

Log meri taraf ungaliya utha dete hai.

********************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 245

********************************

Dil me har raaj daba kar rakhte hai,

Hothon par muskuraahat saja kar rakhte hai,

Ye duniya sirf khushi me saath deti hai,

Isaliye ham apne aansuo ko chupa kar rakhte hai.

*****************************

Aankhon ne aankhon se kya keh diya,

Dil ko dhadakne ka kaam de diya,

Kuch bhi kaho e yaaro isse,

Khuda ne isse mohabbat ka naam de diya.

*****************************

Tumhari yaadon ke sahaare jinda hai ham,

Tumhe dekhne ki chahat dil me rakhte hai ham,

Ab intajaar hai to sirf tumhaare aane ka,

Varna kab se jeena chod chuke the ham.

*****************************

Wo lamhe hame yaad na rahe to kya hoga,

Tere siwa kuch bhi aabaad na rahe to kya hoga,

Aisi hai ye dil ki majburiya kaise bataau,

In saanso me ab tera naam na rahe to kya hoga.

*****************************

Apne gamo ko sharaab me doobone chala tha,

Mujhe kya khabar thi ki gamo ko bhi tairna aata hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 246

********************************

Sanam ko ruswa kar, kya khaak jee sake jee sakenge,

Hamara kya dosh, agar pal bhar kee judaai bhi na sahi jaaye.

*****************************

Jiski baate sochkar apni tanhaai ko bhool jata tha,

Jinhe yaad kar ke kabhi hasta tha to kabhi udaas hota tha.

Aaj wo hi nahi mere paas.

*****************************

Har kadam pe dhokhe milate rahenge,

Par fiza me phool phir bhi khilte rahenge,

Ye hakikat hai log aksar badal jaate hai,

Par phir bhi anjaano se dil milate rahte hai.

*****************************

Kyun kisi deewaane ko wo din dikhaaye

Jo maine khud dekha tha kabhi,

Kyun kisi ko apna bana le jiske sahaare jeeta hai koi.

*****************************

Aur bhi gam hai jamaane me mohabbat ke siwa,

Yun hi koi...

Bewafa nahi hota.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 247

********************************

Aarjoo thi teri baahon me dam nikale,

Kasoor tera nahi badnaseeb ham nikale,

Jahaan bhi jaaye khush rahe tu sada,

Dil se mere yahi dua nikale.

*****************************

Juda reh kar bhi wo satane se baaj nahi aate,

Door rahkar bhi wo dil jalane se baaj nahi aate.

Ham to bhulana chaahte hai unko,

Magar wo khwabon me aane se bhi baaj nahi aate.

*****************************

Sirf isharon me hoti mohabbat agar,

In alfaajon ko khubsoorti kaun deta,

Bas patthar ban ke reh jata Taj Mahal,

Use ishq ki pehchaan kaun deta.

*****************************

Ae khuda aaj najron ko kuch aisa bana de,

Jidhar dekhu udhar wo hi dikhaai de,

Kaash aisi meharbaniyan ho aaj hawa me,

Ki usko pukaru aur usi ko sunaai de.

*****************************

Meri aankhon me jo tasweer basi hai,

Us tasweer me hi meri takdeer basi hai,

Kis tarah juda kar du usko apni aankhon se,

Mohabbat ki duniya mujhe usi me hi to mili hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 248

********************************

Hasne ke baad kyun rulati hai duniya?

Jaane ke baad kyun bulati hai duniya?

Jindagi me kya kuch kasar baaki thi,

Jo marne ke baad jalati hai duniya.

*****************************

Aapko bhool jaaye wo najar kahaan se laaye,

Kisi aur ko chaah le wo jeegar kahaan se laaye?

Nahi reh sakte aap ke bina,

Uf! bhi na nikle wo jahar kahaan se laaye?

*****************************

Pyaar bhara har ek ishara,

Pyara uska har najara,

Jis ne jameen par pyaar utara,

Wo khud hoga kitna pyara.

*****************************

Bada khushnaseeb hai jise tu naseeb hai,

Use aur kya chahiye jis ke tu kareeb hai.

*****************************

Muskuraate huye aankhon me sanam aate hai,

Aap kya jaane kahaan se mere gam aate hai,

Aapko hamse pyaar me shikayat kya hogi,

Aapko pyaar ke andaaj hi kam aate hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 249

********************************

Jhuki-jhuki palken hai,

Chehre pe kitna noor hai,

Jaalim ki saadagi me bhi,

Dekho yaaron kitna guroor hai.

*****************************

Chod diya akele hame,

Kisi aur ki baahon me simatne ke liye,

Phir bhi pyaas agar bujhti nahi,

Mere aansu ke talaab me jara doob ke dekhiye.

*****************************

Kabhi to teri palkon pe jhilmilaau main,

Tu intajaar kare aur aau main.

Mere hamdam, samundar me le jakar fareb mat karna,

Tu kahe to kinaare pe hi doob jaau main.

*****************************

Mere pyaar ko duniya me koi samajh na paya,

Rote the jab tanha koi mere saath na aaya,

Mita diya khud ko uske pyaar me aur kahte hai,

Log ki mujhe pyaar karna na aaya.

*****************************

Yaad to har koi karega jaane ke baad,

Sacche pyaar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad.

Kaun kitni mohabbat karta hai,

Najar aa jaayega mar jaane ke baad.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 250

********************************

Ham gila nahi karte,

Jo na ho kismat me wo mila nahi karte,

Jakhm kuch is tarah khaye hai dil pe hamne,

Yeh itne gahre hai ki kabhi sila nahi karte.

*****************************

Mil jaaye koi naya to hame na bhula dena,

Koi rula de tumhe to hame yaad kar lena,

Dost na sahi ham tumhaare... insaan to hai,

Khushi na sahi yaar gam hi baant lena.

*****************************

Dard kitane hai bata nahi sakte,

Jakhm kitne hai diya nahi sakte,

Aankhon se samajh sako to samajh lo,

Aansu gire hai kitane gina nahi sakte.

*****************************

Khuda kare unhe bhi ham jaisa ehsaas ho,

Jo dard ham chupate hai wo unko mahsoos ho,

Tab shayad unhe hamara khyaal aayega,

Ho sakta hai, jo khoya wo waapas mil jaayega.

*****************************

Sapne saare todkar baithe hai,

Dil ke armaan chodkar baithe hai,

Na keejiye hamse vafa ki baate,

Abhi-abhi dil ke tukade jodkar baithe hai.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 251

*****************************

Wo dil kidar se laau teri yaad jo bhula de,

Mujhe yaad aane waale koi raasta bata de,

Mere dil ne tumko chaha kya ye meri khata hai,

Mana ki ye hai khata, aisi bhi na saja de.

*****************************

Duniya me jeene ki chaahat na hoti,

Agar khuda ne mohabbat banayi na hoti,

Log marne ki aarjoo na karte agar,

Mohabbat me bewafaai na hoti.

*****************************

Har din wo aapki meri mulakaat,

Har roj hasna roothna aapka.

Gaye wo din milne ke aapko,

Gaye wo din manane hasaane ke aapko,

Bas itna hi tha saath aapka mera,

Yahi soch ke hasate apni kismat par ham.

*****************************

Hame jindagi ne diye hai hame hajaar dukh,

Pyaar jab jab kiya pyaar ne dhokha diya hajaar baar,

Aaj bhi dil dhadakta hai hamara,

Dar lagta us hawa ke jhonke se jo apne saath khushiya laati hai.

*****************************

Mana ki aaj hamaare saath koi dildaar nahi,

Lekin ye mat samajhna ki hame kisi se pyaar nahi,

Kismat ne sab kuch diya hame,

Sirf diya hamara wo yaar nahi.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 252

********************************

Ummeed ki thi maine khushiya ki,

Ab to wo kashtiya bhi doob chuki hai,

Har koi lagne laga hai paraya,

Mujhse juda ho chuka hai mera hi saya.

*****************************

Tut gaye ham unka intajaar karte karte,

Roye hajaar baar khud se takraar karte-karte,

Do lafj unki jubaan se nikle aur tut gaye ham,

Ek tarfa pyaar karte-karte.

*****************************

Nigaahon me raha dil ka pata na liya,

Sukoon le liya unse jismo jaan na liya,

Mujh par hi iljaam laga diya bewfaai ka,

Par usne apne sar koi gunaah nahi liya.

*****************************

Saja chaahe kitni bhi ho,

Mohabbat se kam nahi,

Kisi ko mehboob mil jata hai,

To kisi ko uska deedar tak nahi mil pata.

*****************************

Ek jara si bhool khata ho gayi,

Jindagi jaise ek saja ho gayi,

Tum najaron se door kya ho gaye,

Har saans maut se hamjubaan ho gayi.

*****************************

NEHA KE NYARE NYARE SMS - 253

********************************

Pyaar ruswa ho gaya, main tadapkar reh gaya,

Khwaab pyaar me dekha jo, wo bikharkar reh gaya,

Phool gulshan me khile the bahut magar,

Main kya karu jab aashiyana ujadkar reh gaya.

*****************************

Hajaar baar tujhe chaha tha maine bhulana,

Magar yaad aaj tak hai tera fasana,

Maine to ada kar diya farj ulfat ka,

Tune hi na chaha dastoor-e-ishq nibhana.

*****************************

Tum khush na reh sakoge mujhase bichad kar,

Yaaden meri tujhe sataya karengi bahut,

Jab pyaar karega tumko sanam tumhara,

Tum meri yaad me tadpa karoge bahut.

*****************************

Had se jyada gam seh chuka hu,

Bahut kuch tanhaai me keh chuka hu,

Ae sanam neend akele me kaise aaye,

Uski aagosh me jab raaton me reh chuka hu.

*****************************

Yaadon me hamaari aap bhi khoye honge,

Khuli aankhon se kabhi aap bhi soye honge,

Mana hasna ada hai gam chupane ki,

Par haste huye kabhi aap bhi roye honge.

*****************************

Post a Comment

0 Comments