Kaho phir kya kia jae
Muje tm achi lgti ho
Main tm ko acha lgta hn
Kaho phr kya kia jae
Tumhari muskrati geet gati dilruba ankhein
Boht gehri bari qatil nihayat khushnuma ankhein
Mere dil se meri be-tabion se khelti ankhein
Wo pehle pyar ki zalim kask ko jheelti ankhein
Khamoshi ki zuban mein mujh se kya kuch bolti ankhein
Wo dil k bheid sarey un-kahi mein kholti ankhein
Ba-zahir doston mein khilkhilati chor nazron se
Muje awaz deti dolti ankhein
Wo meri rooh k rukhsar ko ek fasley se choomti ankhein
Ye sub batein btati hein main tm ko
acha lgta hn
Wo mere zabt kho dene pe fehmaish bhari nazrein
Ada-e-be-niazi ka wo ek nakam sa manzar
Wo ek kamzor si be-iltfati, be-rukhi ki sirf ek mohoom si kawish
Muje haan bs muje yun hi nazar andaz krne ki wo ek dilchasp si koshish
Sar-e-mehfil tumhara raaz khul jane k dar se
Be-irada gheir aham logon se rasmi guftgoo krna
Ye sb batein btati hein main tm ko acha lgta hn
Kaho phir kya kia jae
Mere be-sakhta fiqrey mere lehje ki hr shokhi
Mera hr waqt hr ek samt tm ko dhoondte rehna
Nazar parte hi tm pr zor se dil ka dhark uthna
Boht hi walihana pun se tm ko dekhte rehna
Mera khwabon khyalon mein tumhara hath thamey door tk chalte chale jana
Misalon mein hwalon mein tumhara zikr le ana
Kisi no-kheiz larke ki tarah
Hr ek kaghaz pr tumhara naam likhna
Or phir likh kr mita dena
Ye sb batein btati hein muje tm achi lgti ho
Kaho phr kya kia jae
Muje tm achi lgti ho
Main tm ko acha lgta
hn
Kho phr kya kia jae
Hmare darmian rasmon riwajon ka
Smaji martbe ka or khandanon ka
Boht gehra khala ha
Is ko kese pur kia jaye
Kaho phir kya kia jaye
0 Comments