Aks-e-khushboo hoon, bikherne se na ruke koi aur phir bikher jaoun tu mujh ko na samete koi. kaanp uthti hoon main yeh soch ke tanhayii mein.... mere chehre pe tera naam na perh le koi. Jiss terha khawaab mere hu gaye reeza, reeza, iss terha se na kabhi toot ke bikhre koi. Main tu uss dinn se harasaan hoon ke jab hukm mile... khushk phooloon ko kitaboon mein na rakhe koi. Abb tu iss rah se woh shakhs guzarta bhi nahi.. abb kis umeed pe darwaze se jhanke koi. Koi aahat, koi awaz, koi chaap nahi, dil ki ghaliyaan bari sunsaan hein aaye koi............! Parveen Shakir |
0 Comments