Sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chale jana Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana! Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay mein Usey puri tarha se tum bhula do phir chale jana! Ye saray pair poday tum bin kai raat jage hein Tum aa ke eik baar inn ko sula do phir chale jana! Kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka Jo hai ahsaas tum usko bhula do phir chale jana! Bus ik murda hansi se apne ashko ko chupane ka Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chale jana! Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maani se Bas in alfaz-o-mani ko mila do phir chale jana! Jo kehte kahte ruk gaye, unn sari baatoon ki Sama'at ko talab hai wo suna do phir chale jana! Na jane kiun hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai Meri ye be-waja aadat chura do phir chale jana! Mere inn roz-o-shab ka eik faqat unwan bus tum hu Mujhe tum doosra unwan laa do phir chale jana! Pyar ki koshish, aay Khuda, na jaye raigan Mujhe is sabr ka kuch phal dila do |
0 Comments