Woh dil hi kya jo tere milne ki dua na kare
Main tujh ko bhool ke zinda rahoon khuda na kare
Rahe ga pyaar tere saath zindagi ban kar
yeh aur baat meri zindagi wafa na kare
Yeh theek hai nahi marta koi judaii mein
khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Agar wafa pe bharoosa rahe na duniya ko
tu koi shakhs muhabbat ke husla na kare
Suna hai uss ko muhabbat duaein deti hai
jo dil pe chut khaye magar gila na kare
Bujha diya hai naseeboon ne mere pyaar ka chand
koi diya meri palkoon pe ab jala na kare
Zamana dekh chuka ha parakh chuka hai usse,
"Qateel" jaan se jaye magar iltja na kare..!
0 Comments