Header Ads Widget

Ankhein Bheeg Jati Hein (Urdu Poetry)


Samander mein uterta hoon to ankhein bheeg jati hein

Teri ankhon ko parhta hoon to ankhein bheeg jati hein

Tumhara naam likhney ki ijazat chhin gai jub se

Koi bhi lafz likhta hoon to ankhein bheeg jati hein

Teri yaadon ki khushboo khirkion mein raqs karti ha

Tere gham mein sulagta hoon to ankhein bheeg jati hein

Main hans k jheel leta hoon judai ki sabhi rasmein

Galey jub us k lagta hoon to ankhein bheeg jati hein

Najaney ho gya hoon is qadar hassas main kb se

Kisi se baat krta hoon to ankhein bheeg jati hein

Wo sub guzrey huey lamhaat mujh ko yaad atey hein

Tumharey khat jo parhta hoon to ankhein bheeg jati hein

Mian sara din boht masroof rehta hoon mger joonhi

Qadm chokhat pe rakhta hoon to ankhein bheeg jati hein

Her ek muflis k maathey pr alam ki dastanein hein

Koi chehra bhi parhta hoon to ankhein bheeg jati hein

Barey logon k oonchey, bad-numa aur sard mehlon ko

Ghareeb ankhon se takta hoon to ankhein bheeg jati hein

Tere koochey se ab mera ta aluq wajbi sa ha

Mger jub bhi guzerta hoon to ankhein bheeg jati hein

Hazaron mosmon ki hukmrani ha mere dil per

Wasi main jub bhi hansta hoon to ankhein bheeg jati hein

Poet: Wasi Shah

Post a Comment

0 Comments