Header Ads Widget

Ajab Pagal si Larki hai....

Ajab Pagal si Larki hai....
Ajab Pagal si larki hai,
Mujhe har khat main likhti hai,
Mujhe tum yaad kartay ho???
Tumhain main yaad
ati hoon?
Meri batain satati hain??
Meri nindain jagati hain??
Meri ankhain rulati hain??
December ki sunheri dhop main ab bhi teheltay ho?
Kisi Khamosh rastay say koi awaz ati hain??
Sard raton main tm ab bhi chat pay jatay ho?
Falak kay sabz sitaron ko meri batain sunatay ho?
Kitaboon say tumhary ishq main koi kami ayi?
Ajab pagal si larki hai...
Mujhe har khat main likhti hai,
Jawaban us ko likhta hon,
Meri masrofiyat dekho subha say shaam office main,
Charagh-e-umar jalta hai,
Phir us k baad duniya ki kai majborian paon main bairi dal rakhti hain,
Mujhe bayfikar chahat say bharay sapnay nahi dikhtay,
Tehalnay jagnay ronay ki muhlat hi nahi milti,
Sitaron say milay arsa hua naraz hon shayad,
Kitaboon say shagaf mera abhi waisay hi qaim hai,
Farq itna para hai ab unhain arsay main parhta hoon,
Tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon..
Kay main khud ko bhulanay ki musalsal justajo main ho,
Tumhain na yaad anay ki musalsal justajo main ho,
Magar yeh justajo meri buhat nakam rehti hai,
Meray din raat main ab bhi tumhari sham rehti hai,
Meray lafzoon ki har mala tumharay naam rehti hai,
Tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon…
Purani baat hai jo log aksar gungunatay hain,
Unhain hum yaad kartay hain jinhain hum bhool jatay hain,
Ajab pagal si larki hai….
Meri masrofiyat dekho,
Tumhain dil say bhulaon to tumhari yaad aye na,
Tumhain dil say bhulanay ki mujhe fursat nahi milti,
Aur is masrof jewan main tumhary khat ka aik jumla
Tumhain main yaad ati hon? Meri chahat ki shiddat main kami honay nahi daita,
Bht retain jagata hai mujhe sonay nahi daita,
Agli baar khat main yeh jumla nahi likhna,
Ajab pagal si larki hai..
Mujhe bhi yeh likhti hai mujhe tum yaad kartay ho?
Tumhain main yaad ati hon??



Post By: Joop

Post a Comment

0 Comments